Shayari
Wednesday, 4 April 2018
AASHIQUI
Woh kehte hai mujhe mohabbat hogai hai,
mai kehta hun ki mujhe mohabbat nai ishq hogya hai,
mohabbat mein toh sirf tanhai hai,
lekin ishq mein toh khudai hai..
Tuesday, 27 March 2018
JUDAAI
Aaj khuda ne humein jeena sikha diya,
jinki tamanna thi unse mila diya.
Woh aaye hai humein alvida kehne
humare jeene ki umeed lekar,
zindagi ka pallu pakda kar,
mohabbat ka daaman chhuda diya.
Tuesday, 20 March 2018
MOHABBAT
मोहब्बत भी क्या चीज़ है,
किसी को दर्द देती है,
तो किसी को मर्ज़ देती है.
और जिन्हें हमने रुलाया है,
हमे उनके आंसुओं का क़र्ज़ देती है.
Thursday, 8 March 2018
INTEZAAR
पल पल कर के घडीयां खतम हुईं,
न जाने कितनी सदियां खतम हुईं ,
उनके दिदार को आँखे तरसती रहीं ,
उनके इंतज़ार में हमारी तमाम खुशियां खतम हुईं ।
Saturday, 24 February 2018
LOVE NEVER LEAVE
Humne toh mohabbat ko chhod diya,
lekin mohabbat ne hume kahin ka nahi chhoda.
PARTING
Unhone mangi bhi toh judai mangi,
or hum thhe ki inkaar na kar sake.
Wednesday, 21 February 2018
LONELINESS
Humein tanhai pasand hai,
Bheed mein khauf aata hai.
Sannatein se dar nahi lagta,
Shor mein Dil ghabrata hai.
Older Posts
Home
Subscribe to:
Comments (Atom)