Wednesday, 4 April 2018

AASHIQUI

Woh kehte hai mujhe mohabbat hogai hai,
mai kehta hun ki mujhe mohabbat nai ishq hogya hai,
mohabbat mein toh sirf tanhai hai,
lekin ishq mein toh khudai hai..

Tuesday, 27 March 2018

JUDAAI

Aaj  khuda  ne  humein  jeena  sikha  diya,
jinki  tamanna  thi  unse  mila  diya.
Woh  aaye  hai  humein  alvida  kehne
humare  jeene  ki  umeed  lekar,
zindagi  ka  pallu  pakda  kar,
mohabbat  ka  daaman  chhuda  diya.

Tuesday, 20 March 2018

MOHABBAT

मोहब्बत  भी  क्या  चीज़  है,
किसी  को  दर्द  देती  है,
तो  किसी  को  मर्ज़  देती  है.
और  जिन्हें  हमने  रुलाया  है,
हमे  उनके  आंसुओं  का  क़र्ज़  देती  है.

Thursday, 8 March 2018

INTEZAAR

पल  पल  कर  के  घडीयां  खतम  हुईं,
न  जाने  कितनी  सदियां  खतम  हुईं ,
उनके  दिदार  को  आँखे  तरसती   रहीं  ,
उनके  इंतज़ार  में  हमारी  तमाम  खुशियां  खतम  हुईं ।

Saturday, 24 February 2018

LOVE NEVER LEAVE

Humne toh mohabbat ko chhod diya,
lekin mohabbat ne hume kahin ka nahi chhoda.

PARTING

Unhone mangi bhi toh judai mangi,or hum thhe ki inkaar na kar sake.

Wednesday, 21 February 2018

LONELINESS

Humein tanhai pasand hai,
Bheed mein khauf aata hai.
Sannatein se dar nahi lagta,
Shor mein Dil ghabrata hai.

Tuesday, 20 February 2018

UNFAITHFUL

Unhone humari taarif kuch iss kadar ki,
hum apna dil hi luta baithe.
Humne zara si bewafai kya ki
woh toh jaan hi gawa baithe

Sunday, 18 February 2018

I M IMPRESSED BY SOMEONE

Hum kuch iss kadar mutasir huye hai unse,ki aaine mein bhi unka aks nazar aata hai Pukar ta hai koi hume or unka naam sunai de jata hai.

INTEZAAR

Har guzarta lamha teri yaad lekar aata hai,
har badalta pal teri yaad dilata hai,
tere naa hone ka ehsaas baar baar
aankho mein sailaab le aata hai.